humse hai kyun juda-juda kaisa hai tu alag-alag
humse hai kyun juda-juda kaisa hai tu alag-alag
Makhdoom Khadim Safi
MORE BYMakhdoom Khadim Safi
ham se hai kyuuñ judā-judā kaisā hai tū alag-alag
dil ko hai ġham nayā-nayā kaisā hai tū alag-alag
jab se gayā tū sāqiyā jām-o-subū rakhā diyā
karte haiñ ham ḳhudā-ḳhudā kaisā hai tū alag-alag
tum ne jo va.ada thā kiyā kyuuñ na use vafā kiyā
rahte ho kyā ḳhafā-ḳhafā kaisā hai tū alag-alag
donoñ jahāñ ko le liyā sabr-o-shakeb kho diyā
ham par to kī jafā-jafā kaisā hai tū alag-alag
'ḳhādim'-e-ḳhasta kī ḳhatā us ko kaaro na kyuuñ 'atā
kahte ho haañ bachā-bachā kaisā hai tū alag-alag
hum se hai kyun juda-juda kaisa hai tu alag-alag
dil ko hai gham naya-naya kaisa hai tu alag-alag
jab se gaya tu saqiya jam-o-subu rakha diya
karte hain hum KHuda-KHuda kaisa hai tu alag-alag
tum ne jo wada tha kiya kyun na use wafa kiya
rahte ho kya KHafa-KHafa kaisa hai tu alag-alag
donon jahan ko le liya sabr-o-shakeb kho diya
hum par to ki jafa-jafa kaisa hai tu alag-alag
'KHadim'-e-KHasta ki KHata us ko karo na kyun 'ata
kahte ho han bacha-bacha kaisa hai tu alag-alag
- Book : Asrar-e-Haqiqat (Pg. 18)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.