hamin surat hain hamin did hain jaanan hain hamin
hamin surat hain hamin did hain jaanan hain hamin
Makhdoom Khadim Safi
MORE BYMakhdoom Khadim Safi
hamīñ sūrat haiñ hamīñ diid haiñ jānāñ haiñ hamīñ
hamīñ 'āshiq hamīñ mā'shūq haiñ 'irfāñ haiñ hamīñ
zāhidā haal mirā dekh ke hairāñ tū na ho
maz.hab-e-zohd hamīñ mashrab-e-rindāñ haiñ hamīñ
ham ko bas apne sivā kuchh nazar aatā hī nahīñ
ādam-o-shīs hamīñ hazrat-e-insāñ haiñ hamīñ
būjhe ye ramz vahī jo ki haqīqat samjhe
vā'iz-e-pīr-e-muġhāñ hāfiz-e-qur.āñ haiñ hamīñ
kyā kare hamd-o-sifat us ke sivā ab 'ḳhādim'
hamīñ ahmad haiñ hamīñ yūsuf-e-kan.āñ haiñ hamīñ
hamin surat hain hamin did hain jaanan hain hamin
hamin 'ashiq hamin ma'shuq hain 'irfan hain hamin
zahida haal mera dekh ke hairan tu na ho
mazhab-e-zohd hamin mashrab-e-rindan hain hamin
hum ko bas apne siwa kuchh nazar aata hi nahin
aadam-o-shis hamin hazrat-e-insan hain hamin
bujhe ye ramz wahi jo ki haqiqat samjhe
wa'iz-e-pir-e-mughan hafiz-e-quran hain hamin
kya kare hamd-o-sifat us ke siwa ab 'KHadim'
hamin ahmad hain hamin yusuf-e-kanan hain hamin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.