sanam jab se aashiq tumhaare hue hain
sanam jab se 'āshiq tumhāre hue haiñ
diloñ meñ mohabbat se pyāre hue haiñ
parastish tirī ham ko bhātī bahut hai
haram dair se ham kināre hue haiñ
banāo kisī ko bigāḌo kisī ko
miyāñ ham to tere sañvāre hue haiñ
haiñ shams-o-qamar donoñ shāneñ tumhārī
isī se ye zāhir sharāre hue haiñ
ġhazal ab to 'ḳhādim' ne aisī kahī hai
buland ab sitāre hamāre hue haiñ
sanam jab se 'ashiq tumhaare hue hain
dilon mein mohabbat se pyare hue hain
parastish teri hum ko bhati bahut hai
haram dair se hum kinare hue hain
banao kisi ko bigaDo kisi ko
miyan hum to tere sanware hue hain
hain shams-o-qamar donon shanen tumhaari
isi se ye zahir sharare hue hain
ghazal ab to 'KHadim' ne aisi kahi hai
buland ab sitare hamare hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.