hamare yar ki surat jahan dekho ayan dekho
hamāre yaar kī sūrat jahāñ dekho 'ayāñ dekho
ye sab jalva ḳhudā.ī kā miyāñ dekho jahāñ dekho
jo 'āshiq hai vahī mā'shūq mastoñ kā bayāñ dekho
banā hai us kī sūrat se hamārā jism jaañ dekho
ba-zāhir vo mohammad hai magar bātin meñ jaañ dekho
jo pinhāñ thā so zāhir hai ba-har-jā har-zamāñ dekho
ġhulām-e-chisth ho 'ḳhādim' karam murshid kā hai mujh par
gadā se shaah kahlāyā nigāh-e-murshidāñ dekho
hamare yar ki surat jahan dekho 'ayan dekho
ye sab jalwa KHudai ka miyan dekho jahan dekho
jo 'ashiq hai wahi ma'shuq maston ka bayan dekho
bana hai us ki surat se hamara jism jaan dekho
ba-zahir wo mohammad hai magar baatin mein jaan dekho
jo pinhan tha so zahir hai ba-har-ja har-zaman dekho
ghulam-e-chisth ho 'KHadim' karam murshid ka hai mujh par
gada se shah kahlaya nigah-e-murshidan dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.