dil ko mere ai saqi sarshaar kiya tu ne
dil ko mire ai saaqī sarshār kiyā tū ne
jab dil kā lagā paayā inkār kiyā tū ne
nāzoñ se adāoñ se ġhamzoñ se nigāhoñ se
mā'lūm huā mujh ko jo kaar kiyā tū ne
avval bhī tū hī bolā ḳhud qaul-e-alast ākHir
qaalū balā ko kah ke iqrār kiyā tū ne
mā'shūq mirā tū hī aur maiñ huuñ tirā 'āshiq
maḳhdūm safī ban kar iz.hār kiyā tū ne
'āshiq haiñ tire ai gul kahne ko yuuñ to lākhoñ
'ḳhādim' ko magar mahv-e-dīdār kiyā tū ne
dil ko mere ai saqi sarshaar kiya tu ne
jab dil ka laga paya inkar kiya tu ne
nazon se adaon se ghamzon se nigahon se
ma'lum hua mujh ko jo kar kiya tu ne
awwal bhi tu hi bola KHud qaul-e-alast aakHir
qalu bala ko kah ke iqrar kiya tu ne
ma'shuq mera tu hi aur main hun tera 'ashiq
maKHdum safi ban kar izhaar kiya tu ne
'ashiq hain tere ai gul kahne ko yun to lakhon
'KHadim' ko magar mahw-e-didar kiya tu ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.