saqi teri nigah se kya kya maze uThae
saaqī tirī nigah se kyā kyā maze uThā.e
sarshār ho rahā huuñ bin jām-e-mai pilā.e
ham mast haiñ daras ke 'āshiq haiñ tirī jānāñ
har shai meñ tum ko dekhā kyā ḳhuub ho samā.e
sūrat se āshnā huuñ sīrat meñ maiñ fanā huuñ
parda uThā ke dekhā tum hī nazar meñ aa.e
rahtī hai diid ham ko din-rāt ab sanam kī
us but ko apnī yaaro kab tak rahūñ chhupā.e
parvāna kī tarah se apne ta.iiñ jalāyā
mānind-e-sham.a jaise 'ḳhādim' safī bin aa.e
saqi teri nigah se kya kya maze uThae
sarshaar ho raha hun bin jam-e-mai pilae
hum mast hain daras ke 'ashiq hain teri jaanan
har shai mein tum ko dekha kya KHub ho samae
surat se aashna hun sirat mein main fana hun
parda uTha ke dekha tum hi nazar mein aae
rahti hai did hum ko din-raat ab sanam ki
us but ko apni yaro kab tak rahun chhupae
parwana ki tarah se apne tain jalaya
manind-e-shama jaise 'KHadim' safi bin aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.