jis liye aae the so hum kar chale
jis liye aa.e the so ham kar chale
kū-e-jānāñ meñ qadam ham dhar chale
is jahāñ se kaam ham ko kuchh nahīñ
kāmrāñ ham apnī manzil par chale
mil ga.ī lazzat hameñ is faqr meñ
the gadā ab shaah ham ban kar chale
dekh lo yaaro hameñ is 'ishq meñ
naqd-e-dil apnā luTā kar chale
khul gayā hai raaz ab mā'shūq kā
jo ki pinhāñ thā 'ayāñ ham kar chale
tum vujūdī ahmadī ko dekh lo
hai ye har shai meñ nishāñ ham kar chale
maiñ to 'ḳhādim' huuñ safī maḳhdūm kā
fazl murshid kā bayāñ ham ham chale
jis liye aae the so hum kar chale
ku-e-jaanan mein qadam hum dhar chale
is jahan se kaam hum ko kuchh nahin
kaamran hum apni manzil par chale
mil gai lazzat hamein is faqr mein
the gada ab shah hum ban kar chale
dekh lo yaro hamein is 'ishq mein
naqd-e-dil apna luTa kar chale
khul gaya hai raaz ab ma'shuq ka
jo ki pinhan tha 'ayan hum kar chale
tum wujudi ahmadi ko dekh lo
hai ye har shai mein nishan hum kar chale
main to 'KHadim' hun safi maKHdum ka
fazl murshid ka bayan hum hum chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.