pi kar mai-e-mughan ko kya kya maze uThae
pī kar mai-e-muġhāñ ko kyā kyā maze uThā.e
us 'ishq kī badaulat insān ban ke aa.e
hamdam nadīm mahram merā vahī hai har dam
so tarh ke haiñ jalva jis ne hameñ dikhā.e
asrār-e-ahmadī ko kījiye bayāñ kahāñ tak
har rañg meñ hai yaaro apne ta.iiñ chhupā.e
'āshiq kā ye suḳhan hai samjho tum is ko logo
mā'shūq ke ham apne bande haiñ ab kahā.e
'ḳhādim' huuñ maiñ safī kā 'āshiq 'alī nabī kā
pūjūñ huuñ apnā kā'ba shor-o-fuġhāñ machā.e
pi kar mai-e-mughan ko kya kya maze uThae
us 'ishq ki badaulat insan ban ke aae
hamdam nadim mahram mera wahi hai har dam
so tarh ke hain jalwa jis ne hamein dikhae
asrar-e-ahmadi ko kijiye bayan kahan tak
har rang mein hai yaro apne tain chhupae
'ashiq ka ye suKHan hai samjho tum is ko logo
ma'shuq ke hum apne bande hain ab kahae
'KHadim' hun main safi ka 'ashiq 'ali nabi ka
pujun hun apna ka'ba shor-o-fughan machae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.