yahin raaz-e-dil hai sujhane ke qabil
yahīñ rāz-e-dil hai sujhāne ke qābil
jo būjhe koī hai būjhāne ke qābil
sharī.at se baḌh kar tarīqat meñ dekhā
nahīñ hai haqīqat chhupāne ke qābil
batā.eñ to kyā ham batā.eñ kisī ko
nahīñ koī miltā batāne ke qābil
jo dil hai hamārā vo hai ghar ḳhudā kā
jo dekhe koī hai dikhāne ke qābil
kyā karatā 'ḳhādim' tasavvur hai apnā
lagā dil kahīñ hai chhuTāne ke qābil
yahin raaz-e-dil hai sujhane ke qabil
jo bujhe koi hai bujhane ke qabil
shariat se baDh kar tariqat mein dekha
nahin hai haqiqat chhupane ke qabil
bataen to kya hum bataen kisi ko
nahin koi milta batane ke qabil
jo dil hai hamara wo hai ghar KHuda ka
jo dekhe koi hai dikhane ke qabil
kya karata 'KHadim' tasawwur hai apna
laga dil kahin hai chhuTane ke qabil
- Book : Asrar-e-Haqiqat (Pg. 18)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.