ishq ko har juz aur har kul mein dekha chahiye
ishq ko har juz aur har kul mein dekha chahiye
Makhdoom Khadim Safi
MORE BYMakhdoom Khadim Safi
'ishq ko har juz aur har kul meñ dekhā chāhiye
har shajar har barg aur har gul meñ dekhā chāhiye
ham to samjhe haiñ usī ko hai ye sab ahmad kā nuur
har chaman har baaġh har sumbul meñ dekhā chāhiye
ho gayā sābit qulūbil-mu.minīn 'arsh-e-ḳhudā
har chaman har zulf har kākul meñ dekhā chāhiye
kah ga.e ham kalimat-ul-haq ramz meñ tauhīd ke
har sadā har shor aur har ġhul meñ dekhā chāhiye
ham to 'ḳhādim' haiñ safī ke 'ishq hai apnā maqām
nāla-o-fariyād har bulbul meñ dekhā chāhiye
'ishq ko har juz aur har kul mein dekha chahiye
har shajar har barg aur har gul mein dekha chahiye
hum to samjhe hain usi ko hai ye sab ahmad ka nur
har chaman har bagh har sumbul mein dekha chahiye
ho gaya sabit qulubil-muminin 'arsh-e-KHuda
har chaman har zulf har kakul mein dekha chahiye
kah gae hum kalimat-ul-haq ramz mein tauhid ke
har sada har shor aur har ghul mein dekha chahiye
hum to 'KHadim' hain safi ke 'ishq hai apna maqam
nala-o-fariyaad har bulbul mein dekha chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.