baghair az yar ke dekhe ye dil ko be-qarari hai
baghair az yar ke dekhe ye dil ko be-qarari hai
Makhdoom Khadim Safi
MORE BYMakhdoom Khadim Safi
baġhair az yaar ke dekhe ye dil ko be-qarārī hai
na ho gar yaar paas apnā haqīqat meñ ye ḳhvārī hai
jo hamdam yaar hai merā vahī sab meñ samāyā hai
jo sūrat yaar kī dekhī vahī sūrat hamārī hai
vahī allāh vahī maulā usī kā nuur phailā hai
hai jis ke haq meñ sallallāh usī kī bastī saarī hai
zuleḳhā aur yūsuf 'ishq meñ donoñ to sachche the
zarā to ġhaur kar dekho ab aa.ī apnī baarī hai
kahī hai ramz 'ḳhādim' ne safī kī dekh kar sūrat
ḳhudī to miT ga.ī merī rahī sūrat tumhārī hai
baghair az yar ke dekhe ye dil ko be-qarari hai
na ho gar yar pas apna haqiqat mein ye KHwari hai
jo hamdam yar hai mera wahi sab mein samaya hai
jo surat yar ki dekhi wahi surat hamari hai
wahi allah wahi maula usi ka nur phaila hai
hai jis ke haq mein sallallah usi ki basti sari hai
zuleKHa aur yusuf 'ishq mein donon to sachche the
zara to ghaur kar dekho ab aai apni bari hai
kahi hai ramz 'KHadim' ne safi ki dekh kar surat
KHudi to miT gai meri rahi surat tumhaari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.