tera ishq hum par khula chahta hai
tirā 'ishq ham par khulā chāhtā hai
ye parda duī kā uThā chāhtā hai
'ajab kyā anal-haq nikālūñ zabāñ se
ki 'arsh-e-mu’allā hilā chāhtā hai
nazākat tirī mere dil meñ bharī hai
sanam tū to ham se milā chāhtā hai
ye tarz-e-rafū tū ne kis se hai sīkhā
merā chaak dil jo siyā chāhtā hai
kiyā kaisā qaabū meñ 'ḳhādim' ko apne
binā aage ab kyā dilā chāhtā hai
tera 'ishq hum par khula chahta hai
ye parda dui ka uTha chahta hai
'ajab kya anal-haq nikalun zaban se
ki 'arsh-e-mu’alla hila chahta hai
nazakat teri mere dil mein bhari hai
sanam tu to hum se mila chahta hai
ye tarz-e-rafu tu ne kis se hai sikha
mera chaak dil jo siya chahta hai
kiya kaisa qabu mein 'KHadim' ko apne
bina aage ab kya dila chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.