tariqat ko mera shahid mera mashhud jaane hai
tariqat ko mera shahid mera mashhud jaane hai
Makhdoom Khadim Safi
MORE BYMakhdoom Khadim Safi
tarīqat ko mirā shāhid mirā mash.hūd jaane hai
haqīqat ko mirā vaalī mirā mā'būd jaane hai
hamīñ mallāh aur kashtī hamīñ dariyā-e-vahdat haiñ
hamāre dil ke matlab ko mirā maqsūd jaane hai
hamīñ mā'shūq aur 'āshiq hamīñ mushtāq har fan ke
chamak us nuur kī yaaro mirā maujūd jaane hai
hamīñ zāhid hamīñ 'ābid hamīñ haiñ 'ishq ke bande
sabhī asrār-e-vahdat ko mirā mahmūd jaane hai
hamīñ 'ḳhādim' hamīñ maḳhdūm ham sājid hamīñ masjūd
natīja is mohabbat kā mirā masjūd jaane hai
tariqat ko mera shahid mera mashhud jaane hai
haqiqat ko mera wali mera ma'bud jaane hai
hamin mallah aur kashti hamin dariya-e-wahdat hain
hamare dil ke matlab ko mera maqsud jaane hai
hamin ma'shuq aur 'ashiq hamin mushtaq har fan ke
chamak us nur ki yaro mera maujud jaane hai
hamin zahid hamin 'abid hamin hain 'ishq ke bande
sabhi asrar-e-wahdat ko mera mahmud jaane hai
hamin 'KHadim' hamin maKHdum hum sajid hamin masjud
natija is mohabbat ka mera masjud jaane hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.