ishq ye shai hai ise har shai mein puchha chahiye
ishq ye shai hai ise har shai mein puchha chahiye
Makhdoom Khadim Safi
MORE BYMakhdoom Khadim Safi
'ishq ye shai hai ise har shai meñ pūchhā chāhiye
hai ḳhudā yaaro isī meñ is ko puujā chāhiye
ham to samjhe haiñ isī ko hai ye sab ahmad kā nuur
kullu shai.in meñ hī yahī bas is ko sūjhā chāhiye
ho gayā sābit qulūbil-mu.minīn ’arsh-e-ḳhudā
hai ye kā'ba aur qibla is ko dekhā chāhiye
kah ga.e ham kalimat-ul-haq ramz meñ tauhīd ke
hai ye zāhir hai ye bātin is ko samjhā chāhiye
ham to 'ḳhādim' haiñ safī ke 'ishq hai apnā maqām
hal huā maqsad mirā matlab ko būjhā chāhiye
'ishq ye shai hai ise har shai mein puchha chahiye
hai KHuda yaro isi mein is ko puja chahiye
hum to samjhe hain isi ko hai ye sab ahmad ka nur
kullu shain mein hi yahi bas is ko sujha chahiye
ho gaya sabit qulubil-muminin ’arsh-e-KHuda
hai ye ka'ba aur qibla is ko dekha chahiye
kah gae hum kalimat-ul-haq ramz mein tauhid ke
hai ye zahir hai ye baatin is ko samjha chahiye
hum to 'KHadim' hain safi ke 'ishq hai apna maqam
hal hua maqsad mera matlab ko bujha chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.