sanam ko karen hum nihan kaise kaise
sanam ko kareñ ham nihāñ kaise kaise
guzarte haiñ ham par gumāñ kaise kaise
kabhī bū-e-yūsuf kī aatī hai ham meñ
haiñ ahmad ke pā te nishāñ kaise kaise
sanam ko samajhte haiñ har ik jagah par
haram dair meñ ek-sāñ kaise kaise
sifat apne murshid kī kyā kyā karūñ maiñ
dikhāte haiñ ham ko jahāñ kaise kaise
ġhazal ab ye 'ḳhādim' ne aisī likhī hai
safī jab hue mehrbān kaise kaise
sanam ko karen hum nihan kaise kaise
guzarte hain hum par guman kaise kaise
kabhi bu-e-yusuf ki aati hai hum mein
hain ahmad ke pa te nishan kaise kaise
sanam ko samajhte hain har ek jagah par
haram dair mein ek-san kaise kaise
sifat apne murshid ki kya kya karun main
dikhate hain hum ko jahan kaise kaise
ghazal ab ye 'KHadim' ne aisi likhi hai
safi jab hue mehrban kaise kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.