ruKHsar se kahti hai zulf-e-dota tu aur nahin main aur nahin
ruKHsar se kahti hai zulf-e-dota tu aur nahin main aur nahin
Makhdoom Khadim Safi
MORE BYMakhdoom Khadim Safi
ruḳhsār se kahtī hai zulf-e-dotā tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
ek dam bhī nahīñ huuñ tujh se judā tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
jo pech meñ terī aa phañsā vo bhuul gayā sab chūñ-o-charā
har mū se nikaltī hai ab ye sadā tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
gar kufr hai to kāfir huuñ maiñ islām kā merī hai ye pata
yaksāñ hai haal merā terā tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
aabid hai tū ma.abūd hai tū hāmid hai tū hī mahmūd tū hī
maskan hai tirā dil-o-jāñ merā tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
gar diid hai tū dīdār huuñ maiñ bas aage kahe 'ḳhādim' ab kyā
jo kuchh maiñ kahūñ so hai vo bajā tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
ruKHsar se kahti hai zulf-e-dota tu aur nahin main aur nahin
ek dam bhi nahin hun tujh se juda tu aur nahin main aur nahin
jo pech mein teri aa phansa wo bhul gaya sab chun-o-chara
har mu se nikalti hai ab ye sada tu aur nahin main aur nahin
gar kufr hai to kafir hun main islam ka meri hai ye pata
yaksan hai haal mera tera tu aur nahin main aur nahin
aabid hai tu mabud hai tu hamid hai tu hi mahmud tu hi
maskan hai tera dil-o-jaan mera tu aur nahin main aur nahin
gar did hai tu didar hun main bas aage kahe 'KHadim' ab kya
jo kuchh main kahun so hai wo baja tu aur nahin main aur nahin
- Book : Asrar-e-Haqiqat (Pg. 20)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.