aap ka roz-e-azal jalwa-numa ho jaana
aap kā roz-e-azal jalva-numā ho jaanā
sar se le paañv talak sharm-o-hayā ho jaanā
dekh ai kHūn-e-jigar baat na jaa.e apnī
us hathelī pe Tapaknā to hinā ho jaanā
be-sabab pher na lillāh nigāheñ ai dost
maar Dālegā mujhe terā ḳhafā ho jaanā
mausam-e-gul kī junūñ-ḳhez hī hameñ khā kar
dil ke sūkhe hue zaḳhmoñ kā harā ho jaanā
naam hai ishq meñ miTnā ba ḳhudā ai 'makHzan'
aabrū hai rah-e-ulfat meñ fanā ho jaanā
aap ka roz-e-azal jalwa-numa ho jaana
sar se le panw talak sharm-o-haya ho jaana
dekh ai kHun-e-jigar baat na jae apni
us hatheli pe Tapakna to hina ho jaana
be-sabab pher na lillah nigahen ai dost
mar Dalega mujhe tera KHafa ho jaana
mausam-e-gul ki junun-KHez hi hamein kha kar
dil ke sukhe hue zaKHmon ka hara ho jaana
nam hai ishq mein miTna ba KHuda ai 'makHzan'
aabru hai rah-e-ulfat mein fana ho jaana
- Book : Dabistan-E-Azimabad (Pg. 64)
- Publication : Nikhar Press, Mau Nath Bhanjan (1982)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.