ai ajal tu ne kisi ko ubharne na diya
ai ajal tū ne kisī ko ubharne na diyā
kākuloñ gesūoñ zulfoñ ko sañvar ne na diyā
yuuñ to aane ko bahut rañj-o-masā.ib aa.e
un kī zulfoñ ko magar ham ne bikharne na diyā
aaj uqda ye khulā dekho ki turbat pe hujūm
mar ke bhī yaar ne haq ye hai ki marne na diyā
ek sajda hī sahī kuchh to talāfī hogī
ashhab-e-umr ne manzil pe utarne na diyā
'kaifī' ḳhasta ġhazal ḳhvāñ hai ba-taqlīd-e-qatīl
iḳhtiyār auroñ kā rañg aap ne karne na diyā
ai ajal tu ne kisi ko ubharne na diya
kakulon gesuon zulfon ko sanwar ne na diya
yun to aane ko bahut ranj-o-masaib aae
un ki zulfon ko magar hum ne bikharne na diya
aaj uqda ye khula dekho ki turbat pe hujum
mar ke bhi yar ne haq ye hai ki marne na diya
ek sajda hi sahi kuchh to talafi hogi
ashhab-e-umr ne manzil pe utarne na diya
'kaifi' KHasta ghazal KHwan hai ba-taqlid-e-qatil
iKHtiyar auron ka rang aap ne karne na diya
- Book : Silsila-e-Warisiya ke makhsoos Shora-e-kram (Pg. 111)
- Author : Eram Printers, Dariyapur,Patna,
- Publication : Dr.Kabiruddin Khan Warsi (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.