na dil se yaad jati hai na sauda sar se jata hai
na dil se yaad jati hai na sauda sar se jata hai
Dr. Mansoor Faridi
MORE BYDr. Mansoor Faridi
na dil se yaad jaatī hai na saudā sar se jaatā hai
tumhār husn kā nāzir har ik manzar se jaatā hai
zarūr āl-e-nabī ke 'ishq kā mahrūm hī hogā
ye dekho kaun tishna-lab lab-e-kausar se jaatā hai
shahādat kī ghaḌī 'āshiq kī chashm-e-shauq ke aage
ruḳh-e-mahbūb kā jalva ruḳh-e-ḳhanjar se jaatā hai
vatan se bhī nikal kar kījiye kuchh diin kī ḳhidmat
vahī mushtaq huā karatā hai jo masdar se jaatā hai
'alī hoñ sāmne to phir ġhurūr-e-sarkashī fauran
kabhī marhab kabhī ’antar kabhī ḳhaibar se jaatā hai
nazar qurbān-e-taiba kah rahī hai ka.aba-e-dil se
ḳhudā ke ghar kā rasta mustafā ke ghar se jaatā hai
'farīdī' rabt taiba se rahe ulfat ke tāroñ kā
ki taara TuuT jaatā hai agar mehvar se jaatā hai
na dil se yaad jati hai na sauda sar se jata hai
tumhaar husn ka nazir har ek manzar se jata hai
zarur aal-e-nabi ke 'ishq ka mahrūm hi hoga
ye dekho kaun tishna-lab lab-e-kausar se jata hai
shahadat ki ghaDi 'ashiq ki chashm-e-shauq ke aage
ruKH-e-mahbub ka jalwa ruKH-e-KHanjar se jata hai
watan se bhi nikal kar kijiye kuchh din ki KHidmat
wahi mushtaq hua karata hai jo masdar se jata hai
'ali hon samne to phir ghurur-e-sarkashi fauran
kabhi marhab kabhi ’antar kabhi KHaibar se jata hai
nazar qurban-e-taiba kah rahi hai kaba-e-dil se
KHuda ke ghar ka rasta mustafa ke ghar se jata hai
'faridi' rabt taiba se rahe ulfat ke taron ka
ki tara TuT jata hai agar mehwar se jata hai
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 88)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.