unhen rab ki ata kya hai na tum jaano na hum jaanen
unhen rab ki ata kya hai na tum jaano na hum jaanen
Dr. Mansoor Faridi
MORE BYDr. Mansoor Faridi
unheñ rab kī 'atā kyā hai na tum jaano na ham jāneñ
maqām-e-mustafā kyā hai na tum jaano na ham jāneñ
sivā rab ke haqīqat un kī jab jaane nahīñ koī
ġhalat phir ye kahā kyā hai na tum jaano na ham jāneñ
yūñhī jalva kaaro tum bhī fidā hote raheñ ham bhī
adā kyā hai qazā kyā hai na tum jaano na ham jāneñ
sabhī ko hai ḳhabar hai muntahī jibrīl kā sidra
nabī kā muntahī kyā hai na tum jaano na ham jāneñ
jabīñ jibrīl talvoñ se maleñ jin ke jagāne ko
vaqār-e-mustafā kyā hai na tum jaano na ham jāneñ
ham sab hī jannatī as.hāb phir das ko bashārat kyuuñ
ye āḳhir mājrā kyā hai na tum jaano na ham jāneñ
'farīdī' aao dard-e-ulfat-e-jānāñ ko dil de deñ
du'ā kyā hai davā kyā hai na tum jaano na ham jāneñ
unhen rab ki 'ata kya hai na tum jaano na hum jaanen
maqam-e-mustafa kya hai na tum jaano na hum jaanen
siwa rab ke haqiqat un ki jab jaane nahin koi
ghalat phir ye kaha kya hai na tum jaano na hum jaanen
yunhi jalwa karo tum bhi fida hote rahen hum bhi
ada kya hai qaza kya hai na tum jaano na hum jaanen
sabhi ko hai KHabar hai muntahi jibril ka sidra
nabi ka muntahi kya hai na tum jaano na hum jaanen
jabin jibril talwon se malen jin ke jagane ko
waqar-e-mustafa kya hai na tum jaano na hum jaanen
hum sab hi jannati ashab phir das ko bashaarat kyun
ye aaKHir majra kya hai na tum jaano na hum jaanen
'faridi' aao dard-e-ulfat-e-jaanan ko dil de den
du'a kya hai dawa kya hai na tum jaano na hum jaanen
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 90)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.