Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

musaKHKHar kar chuka har ek mai-kash ko waqar apna

Manzar Siddiqi

musaKHKHar kar chuka har ek mai-kash ko waqar apna

Manzar Siddiqi

MORE BYManzar Siddiqi

    musaḳhḳhar kar chukā har ek mai-kash ko vaqār apnā

    tirī mastī pe sabqat le gayā saaqī ḳhumār apnā

    pas-e-murdan bhī baaqī hai vahī izz-o-vaqār apnā

    havā ke dosh pe tafrīh karatā hai ġhubār apnā

    ab us se baḌh ke apnī nek-nāmī aur kyā hogī

    ki zikr-e-ḳhair us mahfil meñ aayā baar baar apnā

    bahār aane to do ham dasht-e-vahshat ko navāzeñge

    dikhā deñge tamāshā kar ke dāman tār-tār apnā

    butoñ ko rose ham sajda kareñ ye ho nahīñ saktā

    ḳhudā-e-vahdahū lāraib hai parvardigār apnā

    rafīq aisā nazar aayā na koī aaj tak manzar

    jo hotā ham-nashīñ apnā jo hotā ġham-gusār apnā

    musaKHKHar kar chuka har ek mai-kash ko waqar apna

    teri masti pe sabqat le gaya saqi KHumar apna

    pas-e-murdan bhi baqi hai wahi izz-o-waqar apna

    hawa ke dosh pe tafrih karata hai ghubar apna

    ab us se baDh ke apni nek-nami aur kya hogi

    ki zikr-e-KHair us mahfil mein aaya bar bar apna

    bahaar aane to do hum dasht-e-wahshat ko nawazenge

    dikha denge tamasha kar ke daman tar-tar apna

    buton ko rose hum sajda karen ye ho nahin sakta

    KHuda-e-wahdahu laraib hai parwardigar apna

    rafiq aisa nazar aaya na koi aaj tak manzar

    jo hota ham-nashin apna jo hota gham-gusar apna

    Source :
    • Book : Dabistan-E-Azimabad (Pg. 94)
    • Publication : Nikhar Press, Mau Nath Bhanjan (1982)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now