manzil-e-ishq mein hasti ka pata kuchh bhi nahin
manzil-e-ishq meñ hastī kā pata kuchh bhī nahīñ
jalve hī jalve haiñ jalvoñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
chain hī chain milā tum se mohabbat kar ke
daulat-e-ishq milī ghar kā kyā kuchh bhī nahīñ
ek khaTkā sā mire dil ko lagā rahtā hai
aur pūchho ki huā kyā to huā kuchh bhī nahīñ
un kā ḳhat aane se taskīn huī thī dil ko
jab ye dekhā ki likhā kyā to likhā kuchh bhī nahīñ
ai 'rashīd' ham ko ta.ajjub hai ki sāz-e-hastī
jhunjhunātā hai magar is kī sadā kuchh bhī nahīñ
manzil-e-ishq mein hasti ka pata kuchh bhi nahin
jalwe hi jalwe hain jalwon ke siwa kuchh bhi nahin
chain hi chain mila tum se mohabbat kar ke
daulat-e-ishq mili ghar ka kya kuchh bhi nahin
ek khaTka sa mere dil ko laga rahta hai
aur puchho ki hua kya to hua kuchh bhi nahin
un ka KHat aane se taskin hui thi dil ko
jab ye dekha ki likha kya to likha kuchh bhi nahin
ai 'rashid' hum ko tajjub hai ki saz-e-hasti
jhunjhunata hai magar is ki sada kuchh bhi nahin
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 186)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.