Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

maqām-e-hosh se guzrā makāñ se lā-makāñ pahuñchā

Fana Bulandshahri

maqām-e-hosh se guzrā makāñ se lā-makāñ pahuñchā

Fana Bulandshahri

MORE BYFana Bulandshahri

    maqām-e-hosh se guzrā makāñ se lā-makāñ pahuñchā

    tumhāre ishq meñ dīvāna-e-manzil kahāñ pahuñchā

    nazar manziloñ meñ bas tumhīñ husn-e-mujassam the

    matā-e-ārzū le kar maiñ ulfat meñ jahāñ pahuñchā

    usī ne ishq ban kar do-jahāñ ko phūñk Daalā hai

    vo sho.ala jo tirī nazroñ se dil ke darmiyāñ pahuñchā

    junūñ zāhir huā ruḳh par ḳhudī par be-ḳhudī chhā.ī

    ba-qaid-e-hosh maiñ jab bhī qarīb-e-āstāñ pahuñchā

    tum apnī justujū meñ ye mirā shauq-e-talab dekho

    tumhāre ishq meñ luT kar bhī tum tak jān-e-jāñ pahuñchā

    ta.alluq toḌ kar jān-e-jahāñ saare zamāne se

    maiñ pahuñchā thā jahāñ mujh ko tirī ḳhātir vahāñ pahuñchā

    'fanā' vo jalva-gar hone lage har bazm-e-īmāñ meñ

    mirā dil le ke jab mujh ko sar-e-kū-e-butāñ pahuñchā

    maqām-e-hosh se guzrā makāñ se lā-makāñ pahuñchā

    tumhāre ishq meñ dīwāna-e-manzil kahāñ pahuñchā

    nazar manziloñ meñ bas tumhīñ husn-e-mujassam the

    matā-e-ārzū le kar maiñ ulfat meñ jahāñ pahuñchā

    usī ne ishq ban kar do-jahāñ ko phūñk Dalā hai

    wo shoala jo tirī nazroñ se dil ke darmiyāñ pahuñchā

    junūñ zāhir huā ruḳh par ḳhudī par be-ḳhudī chhāī

    ba-qaid-e-hosh maiñ jab bhī qarīb-e-āstāñ pahuñchā

    tum apnī justujū meñ ye mirā shauq-e-talab dekho

    tumhāre ishq meñ luT kar bhī tum tak jān-e-jāñ pahuñchā

    talluq toḌ kar jān-e-jahāñ sare zamāne se

    maiñ pahuñchā thā jahāñ mujh ko tirī ḳhātir wahāñ pahuñchā

    'fanā' wo jalwa-gar hone lage har bazm-e-īmāñ meñ

    mirā dil le ke jab mujh ko sar-e-kū-e-butāñ pahuñchā

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now