sanson pe taras khao pahle ki tarah phir se
sanson pe taras khao pahle ki tarah phir se
Maqbool Ahmad Ansari
MORE BYMaqbool Ahmad Ansari
sāñsoñ pe taras khaao pahle kī tarah phir se
ḳhushbū ho bikhar jaao pahle kī tarah phir se
maiñ lauT ke aa jā.ūñ is shahar meñ nā-mumkin
afvāh na phailāo pahle kī tarah phir se
maiñ apnī vafāoñ kī tārīḳh raqam kar duuñ
tum 'ishq to farmāo pahle kī tarah phir se
mausam kā taqāza hai kis ne tumheñ rokā hai
mahfil meñ chale aao pahle kī tarah phir se
pahlī sī mohabbat kī shiddat hī nahīñ dil meñ
is aag ko dahkāo pahle kī tarah phir se
nīyat na badal jaa.e raste meñ musāfir kī
hāthoñ ko na lahrāo pahle kī tarah phir se
bichhḌe hue sāthī kā kyuuñ ġham hai 'zafar' sāheb
kuchh dil ko bhī samjhāo pahle kī tarah phir se
sanson pe taras khao pahle ki tarah phir se
KHushbu ho bikhar jao pahle ki tarah phir se
main lauT ke aa jaun is shahar mein na-mumkin
afwah na phailao pahle ki tarah phir se
main apni wafaon ki tariKH raqam kar dun
tum 'ishq to farmao pahle ki tarah phir se
mausam ka taqaza hai kis ne tumhein roka hai
mahfil mein chale aao pahle ki tarah phir se
pahli si mohabbat ki shiddat hi nahin dil mein
is aag ko dahkao pahle ki tarah phir se
niyat na badal jae raste mein musafir ki
hathon ko na lahrao pahle ki tarah phir se
bichhDe hue sathi ka kyun gham hai 'zafar' saheb
kuchh dil ko bhi samjhao pahle ki tarah phir se
- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 272)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.