kya fulan bech Dale gae
kyā fulāñ bech Daale ga.e
haañ jī haañ bech Daale ga.e
jo buzurgoñ kī mīrās thī
vo maqāl bech Daale ga.e
kuchh qabīle ke aa.iin the
nā-gahāñ bech Daale ga.e
vo ilāqa bhī apnoñ kā thā
ham jahāñ bech Daale ga.e
bijliyoñ ko ḳhabar hī nahīñ
āshiyāñ bech Daale ga.e
rat-jage niiñd aur ḳhvāb ke
darmiyāñ bech Daale ga.e
ai 'zafar' 'ishq kī raah meñ
jism-o-jāñ bech Daale ga.e
kya fulan bech Dale gae
han ji han bech Dale gae
jo buzurgon ki miras thi
wo maqal bech Dale gae
kuchh qabile ke aain the
na-gahan bech Dale gae
wo ilaqa bhi apnon ka tha
hum jahan bech Dale gae
bijliyon ko KHabar hi nahin
aashiyan bech Dale gae
rat-jage nind aur KHwab ke
darmiyan bech Dale gae
ai 'zafar' 'ishq ki rah mein
jism-o-jaan bech Dale gae
- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 273)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.