masiha ki dawaon se na chu-mantar se jata hai
masiha ki dawaon se na chu-mantar se jata hai
Maqbool Ahmad Ansari
MORE BYMaqbool Ahmad Ansari
masīhā kī davāoñ se na chū-mantar se jaatā hai
maraz ye 'ishq kā hai zikr-e-paiġhambar se jaatā hai
ġhulāmī un ke dar kī bādshāhī se bhī afzal hai
dar-e-kHairul-bashar se jo uThā dar-dar se jaatā hai
ye raaz afshāñ kiyā hai mujh pe mere pīr-o-murshid ne
ḳhudā ke ghar kā rasta mustafā ke ghar se jaatā hai
duā.eñ rañg laatī haiñ to phir saare ġhulāmoñ meñ
ḳhazāna panjtan kā rauza-e-at.har se jaatā hai
jahālat ke añdhere is tarah se duur hote haiñ
ujālā dīn-o-īmāñ kā dar-e-sarvar se jaatā hai
tasavvur meñ zafar aatā hai jab bhī gumbad-e-kHazrā
har ik aañsū adab se merī chashm-e-tar se jaatā hai
masiha ki dawaon se na chu-mantar se jata hai
maraz ye 'ishq ka hai zikr-e-paighambar se jata hai
ghulami un ke dar ki baadshahi se bhi afzal hai
dar-e-kHairul-bashar se jo uTha dar-dar se jata hai
ye raaz afshan kiya hai mujh pe mere pir-o-murshid ne
KHuda ke ghar ka rasta mustafa ke ghar se jata hai
duaen rang lati hain to phir sare ghulamon mein
KHazana panjtan ka rauza-e-athar se jata hai
jahaalat ke andhere is tarah se dur hote hain
ujala din-o-iman ka dar-e-sarwar se jata hai
tasawwur mein zafar aata hai jab bhi gumbad-e-kHazra
har ek aansu adab se meri chashm-e-tar se jata hai
- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 275)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.