ranjishon se bha gaya hai dil ka ye paimana ab
ranjishon se bha gaya hai dil ka ye paimana ab
Maqbool Ahmad Ansari
MORE BYMaqbool Ahmad Ansari
ranjishoñ se bha gayā hai dil kā ye paimāna ab
kyā qiyāmat hai ki apnā ho gayā begāna ab
bhuul kar jaatā nahīñ hai jānib-e-mai-ḳhāna ab
hosh meñ aane lagā hai aap kā dīvāna ab
haañ junūn-e-shauq ko sajdoñ kī 'ādat ho ga.ī
ham se chhūTegā nahīñ sañg-e-dar-e-jānāna ab
ḳhvāb meñ pur-nūr chehre kī ziyārat ho ga.ī
ham pe vājib ho gayā hai sajda-e-shukrāna ab
phuul shabnam sabz-mausam barg-e-gul ḳhushbū huā
muddatoñ se bhuul baiThā hai dil vīrāna ab
ab havā.eñ ḳhuub chaltī haiñ mire dil meñ 'zafar'
ban gayā hai dasht meñ bhī yaar kā kāshāna ab
ranjishon se bha gaya hai dil ka ye paimana ab
kya qiyamat hai ki apna ho gaya begana ab
bhul kar jata nahin hai jaanib-e-mai-KHana ab
hosh mein aane laga hai aap ka diwana ab
han junun-e-shauq ko sajdon ki 'adat ho gai
hum se chhuTega nahin sang-e-dar-e-jaanana ab
KHwab mein pur-nur chehre ki ziyarat ho gai
hum pe wajib ho gaya hai sajda-e-shukrana ab
phul shabnam sabz-mausam barg-e-gul KHushbu hua
muddaton se bhul baiTha hai dil virana ab
ab hawaen KHub chalti hain mere dil mein 'zafar'
ban gaya hai dasht mein bhi yar ka kashana ab
- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 281)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.