mar hi gae jafaon se qatil taDap-taDap
mar hī ga.e jafāoñ se qātil taḌap-taḌap
maiñ kyā ki aur kitne hī bismil taḌap-taḌap
piñjḌe ko toḌ siine ke ye murġh-e-dil mirā
niklegā koī dam hī meñ ġhāfil taḌap-taḌap
kahte haiñ iztirāb hai terā pasand yaar
ārām-o-sabr bhuul jā ghāyal taḌap-taḌap
maiñ kis ravish se tum kaho mamnūn-e-dil na huuñ
pahuñchā diyā hai un ne ba-manzil taḌap-taḌap
ārām-e-zindagī to gayā muddatoñ se 'ishq'
dekheñ phir aage kyā kare ye dil taḌap-taḌap
mar hi gae jafaon se qatil taDap-taDap
main kya ki aur kitne hi bismil taDap-taDap
pinjDe ko toD sine ke ye murgh-e-dil mera
niklega koi dam hi mein ghafil taDap-taDap
kahte hain iztirab hai tera pasand yar
aaram-o-sabr bhul ja ghayal taDap-taDap
main kis rawish se tum kaho mamnun-e-dil na hun
pahuncha diya hai un ne ba-manzil taDap-taDap
aaram-e-zindagi to gaya muddaton se 'ishq'
dekhen phir aage kya kare ye dil taDap-taDap
- Book : Kulliyat-e-Ruknuddin Ishq aur Unki Hayat aur Shaeri (Pg. 84)
- Author : Quraisha Husain
- Publication : The Azad Press, Patna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.