phir na aaya phir ke gar wo nama-bar achchha hua
phir na aayā phir ke gar vo nāma-bar achchhā huā
ḳhat kitābat uTh ga.ī ai sīm-bar achchhā huā
dekhtā vo to tujhe aur maiñ taḌaptā ḳhaak par
paik un tak gar na pahuñchā peshtar achchhā huā
mil ga.e bāham ḳhudā ke fazl se ba.ad az fanā
us ko achchhā kyā kaheñ ham sar-basar achchhā huā
tū hī hai ai ham-nashīñ aur merī hastī hech hai
ho gayā har rag meñ gar terā guzar achchhā huā
garche sūrat apnī hai 'mardān' misāl-e-naqsh-e-pā
is meñ guzrā kārvāñ hai aur agar achchhā huā
phir na aaya phir ke gar wo nama-bar achchha hua
KHat kitabat uTh gai ai sim-bar achchha hua
dekhta wo to tujhe aur main taDapta KHak par
paik un tak gar na pahuncha peshtar achchha hua
mil gae baham KHuda ke fazl se baad az fana
us ko achchha kya kahen hum sar-basar achchha hua
tu hi hai ai ham-nashin aur meri hasti hech hai
ho gaya har rag mein gar tera guzar achchha hua
garche surat apnī hai 'mardan' misal-e-naqsh-e-pa
is mein guzra karwan hai aur agar achchha hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.