jilaya mar kar qatil ne main is qatl ke qurban
jilāyā maar kar qātil ne meñ is qatl ke qurbāñ
huā dāḳhil vo ḳhud mujh meñ maiñ aise daḳhl ke qurbāñ
sanam apne se shāġhil huuñ ki har-dam un se vāsil huuñ
vo vāsil mujh meñ haiñ un meñ maiñ aise vasl ke qurbāñ
is ahliyat ke maiñ sadqe ki nā-ahloñ ko ne.amat dī
banāyā ahl-e-dil jis ne maiñ aise ahl ke qurbāñ
miTā kar aql-e-nā-mahram aqīl-e-hosh-afzā ne
atā kī aql-e-haq-bīñ ab maiñ aisī aql ke qurbāñ
tumheñ apne meñ murshid ne dikhāyā sūrat-e-aslī
rahūñ 'mardāñ' use nigarāñ aur aise fazl ke qurbāñ
jilaya mar kar qatil ne mein is qatl ke qurban
hua daKHil wo KHud mujh mein main aise daKHl ke qurban
sanam apne se shaghil hun ki har-dam un se wasil hun
wo wasil mujh mein hain un mein main aise wasl ke qurban
is ahliyat ke main sadqe ki na-ahlon ko neamat di
banaya ahl-e-dil jis ne main aise ahl ke qurban
miTa kar aql-e-na-mahram aqil-e-hosh-afza ne
ata ki aql-e-haq-bin ab main aisi aql ke qurban
tumhein apne mein murshid ne dikhaya surat-e-asli
rahun 'mardan' use nigaran aur aise fazl ke qurban
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.