kahte hain jinhen arsh pe rahte wo yahin hain
kahte haiñ jinheñ arsh pe rahte vo yahīñ haiñ
parde meñ mire dal ke vahī jalva-gazīñ haiñ
aalam meñ sarāpā hai unhīñ kā qad-o-qāmat
hai aañkh agar dekhiye kis jā vo nahīñ haiñ
aate haiñ tasavvur meñ tashaffī meñ haiñ sargarm
ham mahv-e-mohabbat haiñ to vo ham se qarīñ haiñ
ka.aba meñ haiñ yā dair meñ yā arsh-e-barīñ par
aate haiñ abhī sāmne chāho to kahīñ haiñ
bedārī ho yā ḳhvāb ho har haal meñ hai vasl
jo sāhab-e-nisbat haiñ magar ahl-e-yaqīñ haiñ
sab nuur zuhūr un kā hai 'mardāñ' maiñ kahūñ kyā
us ḳhātam-e-tan meñ mire vo misl-e-nagīñ haiñ
kahte hain jinhen arsh pe rahte wo yahin hain
parde mein mere dal ke wahi jalwa-gazin hain
aalam mein sarapa hai unhin ka qad-o-qamat
hai aankh agar dekhiye kis ja wo nahin hain
aate hain tasawwur mein tashaffi mein hain sargarm
hum mahw-e-mohabbat hain to wo hum se qarin hain
kaba mein hain ya dair mein ya arsh-e-barin par
aate hain abhi samne chaho to kahin hain
bedari ho ya KHwab ho har haal mein hai wasl
jo sahab-e-nisbat hain magar ahl-e-yaqin hain
sab nur zuhur un ka hai 'mardan' main kahun kya
us KHatam-e-tan mein mere wo misl-e-nagin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.