tumhin ho bas faqat dil mein aur aankhon mein samae ho
tumhīñ ho bas faqat dil meñ aur āñkhoñ meñ samā.e ho
mirī hastī meñ bastī apnī hastī kī basā.e ho
sunā kar kalimat-ul-haq aur nafaḳhtu fiihi mir-rūhī
ḳhayāl-e-mā-sivā har-dam mire dil se uThā.e ho
na ḳhvāhish ḳhuld kī dil meñ girā.ish hai na duniyā kī
sagālash ik tumhārī hai kuchh aise dal ke bhaa.e ho
na do dil un hasīnoñ ko na ḳhvāhish vasl-e-hijrāñ ho
mazāq-e-ḳhud-shanāsī se maza gar kuchh bhī paa.e ho
tumhin ho bas faqat dil mein aur aankhon mein samae ho
meri hasti mein basti apni hasti ki basae ho
suna kar kalimat-ul-haq aur nafaKHtu fihi mir-ruhi
KHayal-e-ma-siwa har-dam mere dil se uThae ho
na KHwahish KHuld ki dil mein giraish hai na duniya ki
sagalash ek tumhaari hai kuchh aise dal ke bhae ho
na do dil un hasinon ko na KHwahish wasl-e-hijran ho
mazaq-e-KHud-shanasi se maza gar kuchh bhi pae ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.