tumhaari pyari adaen pyare hamare dil mein sama rahi hain
tumhārī pyārī adā.eñ pyāre hamāre dil meñ samā rahī haiñ
qadam se tā-sar jagah jagah par nirālā jalva dikhā rahī haiñ
suḳhan suḳhan par tumhāre pyārī hazār jānoñ se ham haiñ vaarī
ki pyārī pyārī tumhārī bāteñ hamāre jī ko lubhā rahī haiñ
nihāñ ho tum aur ayaañ tumhīñ ho ye jism zāhir ho jaañ tumhīñ ho
nahīñ huuñ maiñ kuchh ye sab tumhīñ ho rageñ hamārī ye gā rahī haiñ
na chāho jis ko tum apnā karnā vo laakh koshish kare hai nādāñ
navāzishoñ par tumhārī rahnā tamāmī jhagḌe miTā rahī haiñ
tumhārī ḳhūboñ par mere jānāñ hazār jānāñ se fidā hai 'mardāñ'
aur un adāoñ ke ham haiñ qurbāñ jo ham ko maulā banā rahī haiñ
tumhaari pyari adaen pyare hamare dil mein sama rahi hain
qadam se ta-sar jagah jagah par nirala jalwa dikha rahi hain
suKHan suKHan par tumhaare pyari hazar jaanon se hum hain wari
ki pyari pyari tumhaari baaten hamare ji ko lubha rahi hain
nihan ho tum aur ayan tumhin ho ye jism zahir ho jaan tumhin ho
nahin hun main kuchh ye sab tumhin ho ragen hamari ye ga rahi hain
na chaho jis ko tum apna karna wo lakh koshish kare hai nadan
nawazishon par tumhaari rahna tamami jhagDe miTa rahi hain
tumhaari KHubon par mere jaanan hazar jaanan se fida hai 'mardan'
aur un adaon ke hum hain qurban jo hum ko maula bana rahi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.