hai sharab-e-Ahmadi se josh par mai-KHana aaj
hai sharāb-e-ahmadī se josh par mai-ḳhāna aaj
chhoḌiyo mat sāqiyā ḳhālī koī paimāna aaj
āb-o-gil ke ḳhum meñ hai mere alastī hai bharī
kāñsa-e-sar meñ hai mere gardish-e-mastāna aaj
ham nahīñ hoshiyār kahte haiñ aqīl-e-dahr ko
hai vahī hoshiyār hai jo diid meñ dīvāna aaj
ātish-e-innī-anal-haq dam-ba-dam yaañ sho.ala-zan
kyuuñ na vahdat kā mere uble bhalā ḳhum-ḳhāna aaj
hai tapāk-e-ahl-e-duniyā ahl-e-haq kī rāhzan
hai yagāna haq kā hai jo ḳhalq se begāna aaj
haiñ sar-e-bāzār duniyā jo ḳharīdār-e-ḳhudā
naqd-e-sar dete haiñ jins-e-vasl ko bai.āna aaj
vasl kā va.ada jo 'mardāñ' kal kā hai vo aaj ho
sham.a-rū mil mil kar dekhe to koī parvāna aaj
hai sharab-e-ahmadi se josh par mai-KHana aaj
chhoDiyo mat saqiya KHali koi paimana aaj
aab-o-gil ke KHum mein hai mere alasti hai bhari
kansa-e-sar mein hai mere gardish-e-mastana aaj
hum nahin hoshiyar kahte hain aqil-e-dahr ko
hai wahi hoshiyar hai jo did mein diwana aaj
aatish-e-inni-anal-haq dam-ba-dam yan shoala-zan
kyun na wahdat ka mere uble bhala KHum-KHana aaj
hai tapak-e-ahl-e-duniya ahl-e-haq ki rahzan
hai yagana haq ka hai jo KHalq se begana aaj
hain sar-e-bazar duniya jo KHaridar-e-KHuda
naqd-e-sar dete hain jins-e-wasl ko baiana aaj
wasl ka wada jo 'mardan' kal ka hai wo aaj ho
shama-ru mil mil kar dekhe to koi parwana aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.