dard hai jis ka wo dilbar aur hai
dard hai jis kā vo dilbar aur hai
mehrbāñ dar-parda ham par aur hai
kishvar-e-tan meñ jo hai aurañg-e-dil
is sarīr-e-dil kā dāvar aur hai
ā.īna hai ā.īna-rūyoñ kā husn
bīnish us kī apne andar aur hai
mehr-o-mah se ho jise matlab sahīh
apnā yaañ ḳhurshīd-e-ḳhāvar aur hai
mah-jabīnoñ kā jo hai raushan-jamāl
us meñ raushan māh-e-anvar aur hai
hājiyoñ ko ho mubārak haj-e-īd
āshiqoñ kā haj-e-akbar aur hai
dozaḳh-o-firdosh se kuchh vāsta
yān-qayyim āb-e-kausar aur hai
kaam ka.aba se na hai ne der se
dīn-o-īmān yaañ birādar aur hai
dekhte haiñ sarv-qaddoñ ko jo ham
is meñ gul-gasht-e-sanobar aur hai
aarzū ham nāḳhudā kī kyuuñ kareñ
apnī kashtī kā to afsar aur hai
chaah kyuuñ rakheñ azīz-e-misr kī
apne yūsuf kā to kishvar aur hai
haiñ habāb-o-mauj shīrīñ aur ke
bahr-e-vahdat kā shanāvar aur hai
jaur-o-ġhamze haiñ kisī dilbar ke aur
par majāzan ik sitam-gar aur hai
jaur bhī ḳhush haiñ hameñ aur ham uns bhī
jo chhape ho yaañ to manzar aur hai
tai huī 'mardāñ' ye manzil ishq kī
ik qadam haañ ai dilāvar aur hai
dard hai jis ka wo dilbar aur hai
mehrban dar-parda hum par aur hai
kishwar-e-tan mein jo hai aurang-e-dil
is sarir-e-dil ka dawar aur hai
aaina hai aaina-ruyon ka husn
binish us ki apne andar aur hai
mehr-o-mah se ho jise matlab sahih
apna yan KHurshid-e-KHawar aur hai
mah-jabinon ka jo hai raushan-jamal
us mein raushan mah-e-anwar aur hai
hajiyon ko ho mubarak haj-e-id
aashiqon ka haj-e-akbar aur hai
dozaKH-o-firdosh se kuchh wasta
yan-qayyim aab-e-kausar aur hai
kaam kaba se na hai ne der se
din-o-iman yan biradar aur hai
dekhte hain sarw-qaddon ko jo hum
is mein gul-gasht-e-sanobar aur hai
aarzu hum naKHuda ki kyun karen
apnī kashti ka to afsar aur hai
chah kyun rakhen aziz-e-misr ki
apne yūsuf ka to kishwar aur hai
hain habab-o-mauj shirin aur ke
bahr-e-wahdat ka shanawar aur hai
jaur-o-ghamze hain kisi dilbar ke aur
par majazan ek sitam-gar aur hai
jaur bhi KHush hain hamein aur hum uns bhi
jo chhape ho yan to manzar aur hai
tai hui 'mardan' ye manzil ishq ki
ek qadam han ai dilawar aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.