kamal-e-ashiqi ka hai tu hi mere dila hafiz
kamāl-e-āshiqī kā hai tū hī mere dilā hāfiz
jamāl-e-lā-yazālī kī hai merī hai vafā hāfiz
mujhe kyuuñ jidd-o-jahd ho ḳhātir-e-ḳhud-rafta se apnī
ki hai aapī mire dil kā mirā jab dil-rubā hāfiz
tumhāre ishq meñ pyāre hue haiñ dil ke ham pyāre
hamāre jān-o-dil kā hai hamārā hī ḳhudā-hāfiz
maiñ hī avval huñ āḳhir huuñ maiñ hī zāhir huuñ bātin huuñ
mutā dil meñ hī huuñ sab meñ hī apnā banā hāfiz
milā.ī apnī sūrat meñ jo sūrat apne pīroñ kī
to paa.ī ek hī 'mardāñ' huā jyuuñ peshvā hāfiz
kamal-e-ashiqi ka hai tu hi mere dila hafiz
jamal-e-la-yazali ki hai meri hai wafa hafiz
mujhe kyun jidd-o-jahd ho KHatir-e-KHud-rafta se apnī
ki hai aapi mere dil ka mera jab dil-ruba hafiz
tumhaare ishq mein pyare hue hain dil ke hum pyare
hamare jaan-o-dil ka hai hamara hi KHuda-hafiz
main hi awwal hun aaKHir hun main hi zahir hun baatin hun
muta dil mein hi hun sab mein hi apna bana hafiz
milai apnī surat mein jo surat apne piron ki
to pai ek hi 'mardan' hua jyun peshwa hafiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.