kar lun apne mein tumhein ai jaan-e-jaanan to sahi
kar luuñ apne meñ tumheñ ai jān-e-jānāñ to sahī
dil tumhārā bilkul apnā kar duuñ yaksāñ to sahī
kab talak nazroñ se merī tum rahoge duur duur
putliyoñ meñ luuñ biThā ai mere jānāñ to sahī
maiñ rahūñ be-ḳhud tumheñ ho kār-farmā sab mire
chhoḌūñ apnā tum pe bilkul sāz-o-sāmāñ to sahī
tum ko luuñ aur luuñ tumhārī kul ravish tab kal paḌe
le ke baiThūñ jab tumhāre saare arakāñ to sahī
gird phir-phir kar tumhāre hasrat-e-dil luuñ nikāl
jab raheñ baaqī na dil ke koī armāñ to sahī
aane do us gul-badan ko mujh meñ puure husn se
andalīb-e-dil huuñ aalam mujh par nālāñ to sahī
husn-e-ālam-soz dekheñ gar tirā shams-o-qamar
gir paḌeñ ho kar ḳhajil qadmoñ par 'mardāñ' to sahī
kar lun apne mein tumhein ai jaan-e-jaanan to sahi
dil tumhaara bilkul apna kar dun yaksan to sahi
kab talak nazron se meri tum rahoge dur dur
putliyon mein lun biTha ai mere jaanan to sahi
main rahun be-KHud tumhein ho kar-farma sab mere
chhoDun apna tum pe bilkul saz-o-saman to sahi
tum ko lun aur lun tumhaari kul rawish tab kal paDe
le ke baiThun jab tumhaare sare arakan to sahi
gird phir-phir kar tumhaare hasrat-e-dil lun nikal
jab rahen baqi na dil ke koi arman to sahi
aane do us gul-badan ko mujh mein pure husn se
andalib-e-dil hun aalam mujh par nalan to sahi
husn-e-alam-soz dekhen gar tera shams-o-qamar
gir paDen ho kar KHajil qadmon par 'mardan' to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.