mashhur hai jahan mein agarche jafa-e-gul
mashhur hai jahan mein agarche jafa-e-gul
Khwaja Ruknuddin Ishq
MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq
mash.hūr hai jahāñ meñ agarche jafā-e-gul
so jāneñ hoñ to kījiye us par fidā-e-gul
jaatā hai misl bū ke ye dil uḌā huā
kyuuñ kar bhalā na huuñ maiñ kaho mubtalā-e-gul
sarsabz gul kī rakhe ḳhudā har ravish bahār
ai bāġhbāñ nasīb ho tujh ko balā-e-gul
gulzār us ke daaġh se siina mirā huā
kaho mire mazār par koī na laa.e gul
us bulbul-e-asīr kī hasrat pe daaġh huuñ
mar hī ga.ī qafas meñ sunī jab sadā-e-gul
gulchīñ-o-bāġhbāñ ko kahāñ us kī qadr hai
bulbul ke dil se pūchhiye jis vaqt aa.e gul
kuchh aarzū se kaam nahīñ 'ishq' ko sabā
manzūr us ko hai vahī jo ho razā-e-gul
mashhur hai jahan mein agarche jafa-e-gul
so jaanen hon to kijiye us par fida-e-gul
jata hai misl bu ke ye dil uDa hua
kyun kar bhala na hun main kaho mubtala-e-gul
sarsabz gul ki rakhe KHuda har rawish bahaar
ai baghban nasib ho tujh ko bala-e-gul
gulzar us ke dagh se sina mera hua
kaho mere mazar par koi na lae gul
us bulbul-e-asir ki hasrat pe dagh hun
mar hi gai qafas mein suni jab sada-e-gul
gulchin-o-baghban ko kahan us ki qadr hai
bulbul ke dil se pūchhiye jis waqt aae gul
kuchh aarzu se kaam nahin 'ishq' ko saba
manzur us ko hai wahi jo ho raza-e-gul
- Book : Kulliyat-e-Ruknuddin Ishq aur Unki Hayat aur Shaeri (Pg. 141)
- Author : Quraisha Husain
- Publication : The Azad Press, Patna (1979)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.