kya tu bhi tamasha hai ai jalwa-e-jaanana
kyā tū bhī tamāsha hai ai jalva-e-jānāna
parda meñ to tū ḳhud hai aur ḳhalq hai dīvāna
terī hī tajallī hai raunaq rah-e-kāshāna
ābād tujhī se hai ye a.alam-e-vīrāna
idrāk se bartar hai a.alam mutahayyar hai
tū kaun hai kyā shai hai hairān hai farzāna
jaañ dāda-e-ulfat huuñ vābasta-e-gesū huuñ
āñkhoñ meñ mire tū hai mastāna huuñ mastāna
suufī ho barahman ho yā rind-e-ḳharābātī
ka.aba ho kalīsā ho ho shahar ki vīrāna
tū sab kī zabāñ par hai jalva hai terā har-jā
sab khel haiñ ye tere ai jalva-e-jānāna
is 'mashrab'-e-ḳhasta kī bas itnī tamannā hai
apne se shanāsā kar aġhyār se begāna
kya tu bhi tamasha hai ai jalwa-e-jaanana
parda mein to tu KHud hai aur KHalq hai diwana
teri hi tajalli hai raunaq rah-e-kashana
aabaad tujhi se hai ye aalam-e-virana
idrak se bartar hai aalam mutahayyar hai
tu kaun hai kya shai hai hairan hai farzana
jaan dada-e-ulfat hun wabasta-e-gesu hun
aankhon mein mere tu hai mastana hun mastana
sufi ho barahman ho ya rind-e-KHarabaati
kaba ho kalisa ho ho shahar ki virana
tu sab ki zaban par hai jalwa hai tera har-ja
sab khel hain ye tere ai jalwa-e-jaanana
is 'mashrab'-e-KHasta ki bas itni tamanna hai
apne se shanasa kar aghyar se begana
- Book : Bihar men Urdu ki Sufiyana Shairi (Pg. 219)
- Author :Mohammad Tayyab Abdali
- Publication : Israr Karimi Press Allahabad (1988)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.