Sufinama

mat puchh mujhse kyun hai tera rang zard phir

Khwaja Ruknuddin Ishq

mat puchh mujhse kyun hai tera rang zard phir

Khwaja Ruknuddin Ishq

MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq

    mat pūchh mujh se kyuuñ hai tirā rañg zard phir

    uThne lagā hai siine meñ zālim vo dard phir

    kūcha meñ us ke jab ga.e tab mahv ho ga.e

    mānind naqsh-e-pā koī aate haiñ mard phir

    kis taur mirī chashm se jaarī na hove aab

    kūcha se us ke laa.ī sabā āh-e-gard phir

    hai inqilāb-e-charḳh go pur-kār tarh

    jab tak ki dam meñ dam hai tu sahrā-navard phir

    kis taur muztarib na hoñ ai 'ishq' kah

    aane lagī zabāñ pe tirī āh-e-sard phir

    is daur meñ jo raushnī-e-dil murād hai

    mānind āftāb ke tu 'ishq' fard phir

    mat puchh mujh se kyun hai tera rang zard phir

    uThne laga hai sine mein zalim wo dard phir

    kucha mein us ke jab gae tab mahw ho gae

    manind naqsh-e-pa koi aate hain mard phir

    kis taur meri chashm se jari na howe aab

    kucha se us ke lai saba aah-e-gard phir

    hai inqilab-e-charKH go pur-kar ki tarh

    jab tak ki dam mein dam hai tu sahra-naward phir

    kis taur muztarib na hon ai 'ishq' tu hi kah

    aane lagi zaban pe teri aah-e-sard phir

    is daur mein jo raushni-e-dil murad hai

    manind aaftab ke tu 'ishq' fard phir

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now