Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

sharf ye aaj mila gham-e-tamam ke baad

Aah Sambhali

sharf ye aaj mila gham-e-tamam ke baad

Aah Sambhali

MORE BYAah Sambhali

    sharf ye aaj milā ġham-e-tamām ke ba.ad

    ki naam aane lagā merā un ke naam ke ba.ad

    rahā na koī bhī mahrūm daur-e-jām ke ba.ad

    maiñ kyā karūñ ki maiñ tishnā huuñ izn-e-ām ke ba.ad

    na jaane kaisī pilā.ī thī tum ne nazroñ se

    ḳhumār baaqī hai tark-e-subū-o-jām ke ba.ad

    shagufta phuul bhī ḳhāroñ misl chubhte haiñ

    bahār daur-e-tamannā ke iḳhtitām ke ba.ad

    hamāre ā.īna-e-dil pe mel chhāyā hai

    ġham-e-habīb ke ik aks-e-nā-tamām ke ba.ad

    rah-e-hayāt ko āsāñ banā liyā ham ne

    tumhārā naam pukārā har ek gaam ke ba.ad

    na jaane sāqī-o-sahbā pe kyā guzartī hai

    vaqār bāda-kashāñ 'aah' tishna-kām ke ba.ad

    sharf ye aaj mila gham-e-tamam ke baad

    ki nam aane laga mera un ke nam ke baad

    raha na koi bhi mahrum daur-e-jam ke baad

    main kya karun ki main tishna hun izn-e-am ke baad

    na jaane kaisi pilai thi tum ne nazron se

    KHumar baqi hai tark-e-subu-o-jam ke baad

    shagufta phul bhi KHaron ki misl chubhte hain

    bahaar daur-e-tamanna ke iKHtitam ke baad

    hamare aaina-e-dil pe mel chhaya hai

    gham-e-habib ke ek aks-e-na-tamam ke baad

    rah-e-hayat ko aasan bana liya hum ne

    tumhaara nam pukara har ek gam ke baad

    na jaane saqi-o-sahba pe kya guzarti hai

    waqar baada-kashan 'ah' tishna-kaam ke baad

    Source :
    • Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 47)
    • Author : Irfan Abbasi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now