afsurda dil bulbul phulon pe KHizan chhai
afsurda dil bulbul phūloñ pe ḳhizāñ chhā.ī
allāh gulistāñ meñ ye kaisī bahār aa.ī
yuuñ aatī haiñ kānoñ meñ bhūlī huī āvāzeñ
jaise kisī vaadī meñ bajtī huī shahnā.ī
ham ranj-e-asīrī meñ mahsūs na kar paa.e
kab mausam-e-gul biitā kab fasl-e-bahār aa.ī
kal jis ne mujhe apnā dīvāna banāyā thā
ab merī tabāhī par vo bhī hai tamāshā.ī
kahnā to bahut chāhā hāl-e-ġham-e-dil lekin
kuchh kahne nahīñ detā andesha-e-rusvā.ī
mastī meñ kabhī tum ne jo zulf-e-siyah kholī
sāvan kī ghaTāoñ ko aane lagī añgḌā.ī
shahroñ kī taraf ruḳh bhī bhūle se nahii. karte
sahrā kī fazā shāyad dīvānoñ ko raas aa.ī
ai 'aah' zarā socho nādān ho tum kitne
ik bhūlne vaale ke ab tak ho tamāshā.ī
afsurda dil bulbul phulon pe KHizan chhai
allah gulistan mein ye kaisi bahaar aai
yun aati hain kanon mein bhuli hui aawazen
jaise kisi wadi mein bajti hui shahnai
hum ranj-e-asiri mein mahsus na kar pae
kab mausam-e-gul bita kab fasl-e-bahaar aai
kal jis ne mujhe apna diwana banaya tha
ab meri tabahi par wo bhi hai tamashai
kahna to bahut chaha haal-e-gham-e-dil lekin
kuchh kahne nahin deta andesha-e-ruswai
masti mein kabhi tum ne jo zulf-e-siyah kholi
sawan ki ghaTaon ko aane lagi angDai
shahron ki taraf ruKH bhi bhule se nahi karte
sahra ki faza shayad diwanon ko ras aai
ai 'ah' zara socho nadan ho tum kitne
ek bhulne wale ke ab tak ho tamashai
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 47)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.