maujon ka ye sitam bhi hababon pe kam nahin
Interesting Fact
(اردوئے معلی۵ فروری ۱۹۲۶ء)
maujoñ kā ye sitam bhī habāboñ pe kam nahīñ
un ko halāk kartī hai ye jin meñ dam nahīñ
rutba meñ mire dil se ziyāda haram nahīñ
ka.aba ye vo hai jis meñ maqām-e-sanam nahīñ
kuchh shaiḳh se ġharaz na barahman se kaam hai
ham bāda-ḳhvār sākin-e-dair-o-haram nahīñ
farhād kī tarah maiñ karūñ kyuuñ na sar-figār
kyā mire paas tesha-e-faulād-e-ġham nahīñ
talchhaT hī de jo mai nahīñ detā hai sāqiyā
mujh tishna-lab pe kyā tirā dast-e-karam nahīñ
saaqī milegā ḳhaak hameñ mai-kashī meñ lutf
chhāyā huā jo baaġh pe abr-e-karam nahīñ
dil le ke merā kījiye pāmāl shauq se
āzurda maiñ huzūr ke sar kī qasam nahīñ
sayyād ke vo ghar meñ ye gulchīñ kī god meñ
kyā tafriqa paḌā gul-o-bulbul baham nahīñ
va.ada kiyā hai us ne 'salīm' aa.egā zarūr
kuchh is se ham ko hājat-e-qaul-o-qasam nahīñ
maujon ka ye sitam bhi hababon pe kam nahin
un ko halak karti hai ye jin mein dam nahin
rutba mein mere dil se ziyaada haram nahin
kaba ye wo hai jis mein maqam-e-sanam nahin
kuchh shaiKH se gharaz na barahman se kaam hai
hum baada-KHwar sakin-e-dair-o-haram nahin
farhad ki tarah main karun kyun na sar-figar
kya mere pas tesha-e-faulad-e-gham nahin
talchhaT hi de jo mai nahin deta hai saqiya
mujh tishna-lab pe kya tera dast-e-karam nahin
saqi milega KHak hamein mai-kashi mein lutf
chhaya hua jo bagh pe abr-e-karam nahin
dil le ke mera kijiye pamal shauq se
aazurda main huzur ke sar ki qasam nahin
sayyaad ke wo ghar mein ye gulchin ki god mein
kya tafriqa paDa gul-o-bulbul baham nahin
wada kiya hai us ne 'salim' aaega zarur
kuchh is se hum ko hajat-e-qaul-o-qasam nahin
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 135)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.