bande hum be-zar-o-be-dam hain kun ke in ke
bande ham be-zar-o-be-dām haiñ kun ke in ke
dil se ham 'āshiq-e-nākām haiñ kun ke in ke
shāfe'-o-ahmad be-mīm-o-mohammad-e-sayyad
aur bhī in ke sivā naam haiñ kun ke in ke
mārnā aañkh se aur lab se jilānā dam meñ
ek adnā se ye sab kaam haiñ kun ke in ke
haq ne farmā hī diyā shaan meñ laulāka-lammā
az samak tā ba-samā raam haiñ kun ke in ke
mai-e-'irfāñ se bharā ek hai aur shar.a se ek
ek hī haath meñ do jaam haiñ kun ke in ke
zāt-e-jauhar kī hai taqsīm muhāl-e-'aqlī
ai 'ajab nuur ke aqsām haiñ kun ke in ke
'āriz-e-sāf-o-siyah gesū ke sadqe jā.ūñ
zer-e-farmāñ halab-o-shām haiñ kun ke in ke
farsh-e-ḳhākī pe agarche ki haiñ khema-andāz
'arsh-o-kursī-o-falak-bām haiñ kun ke in ke
mehr-o-mah-o-mushtarī-o-zuhra 'atārid mirrīḳh
'aqrab-o-sor ye ḳhuddām haiñ kun ke in ke
aur the vo jinheñ farmān thā fakHla'-nālaika
masnad-e-'arsh pe iqdām haiñ kun ke in ke
haq se batlā ke nabī ko ye kaheñge dam-e-hashr
'ishq' ham banda-e-be-dām haiñ kun ke in ke
bande hum be-zar-o-be-dam hain kun ke in ke
dil se hum 'ashiq-e-nakaam hain kun ke in ke
shafe'-o-ahmad be-mim-o-mohammad-e-sayyad
aur bhi in ke siwa nam hain kun ke in ke
marna aankh se aur lab se jilana dam mein
ek adna se ye sab kaam hain kun ke in ke
haq ne farma hi diya shan mein laulaka-lamma
az samak ta ba-sama ram hain kun ke in ke
mai-e-'irfan se bhara ek hai aur shara se ek
ek hi hath mein do jam hain kun ke in ke
zat-e-jauhar ki hai taqsim muhaal-e-'aqli
ai 'ajab nur ke aqsam hain kun ke in ke
'ariz-e-saf-o-siyah gesu ke sadqe jaun
zer-e-farman halab-o-sham hain kun ke in ke
farsh-e-KHaki pe agarche ki hain khema-andaz
'arsh-o-kursi-o-falak-baam hain kun ke in ke
mehr-o-mah-o-mushtari-o-zuhra 'atarid mirriKH
'aqrab-o-sor ye KHuddam hain kun ke in ke
aur the wo jinhen farman tha fakHla'-nalaika
masnad-e-'arsh pe iqdam hain kun ke in ke
haq se batla ke nabi ko ye kahenge dam-e-hashr
'ishq' hum banda-e-be-dam hain kun ke in ke
- Book : Nizamul Mashaikh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.