samajhta hai dil-e-nadan ki maine kab kiya kuchh hai
samajhtā hai dil-e-nādāñ ki maiñ ne kab kiyā kuchh hai
farishtoñ ne ḳhudā jaane kahāñ se likh diyā kuchh hai
nigāh-e-nāz kahtī hai tirā dil kyā kareñ lekar
na us meñ jaan baaqī hai na himmat hausla kuchh hai
ḳhat-e-taqdīr tauba tauba kyā tahrīr-e-dushman hai
ki har ik harf par dhokā hai kuchh kā likh gayā kuchh hai
miTā dī fard merī dāvar-e-mahshar ne ye kah kar
kareñ kyā shāfa-e-mahshar ne is par likh diyā kuchh hai
vo aisī vaisī shai to muñh lagāte hī nahīñ 'nayyar'
jinheñ jām-e-mai-e-ulfat kā chaskā paḌ gayā kuchh hai
samajhta hai dil-e-nadan ki main ne kab kiya kuchh hai
farishton ne KHuda jaane kahan se likh diya kuchh hai
nigah-e-naz kahti hai tera dil kya karen lekar
na us mein jaan baqi hai na himmat hausla kuchh hai
KHat-e-taqdir tauba tauba kya tahrir-e-dushman hai
ki har ek harf par dhoka hai kuchh ka likh gaya kuchh hai
miTa di fard meri dawar-e-mahshar ne ye kah kar
karen kya shafa-e-mahshar ne is par likh diya kuchh hai
wo aisi waisi shai to munh lagate hi nahin 'nayyar'
jinhen jam-e-mai-e-ulfat ka chaska paD gaya kuchh hai
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.V (Pg. 331)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.