tu agar mehrban hojaye
tū agar mehrbān hojāye
har tamannā javān hojāye
yuuñ bulandī ho fikr meñ terī
har zamīñ āsmān hojāye
jis ko us gul se ho shanāsā.ī
kyuuñ na rañgīñ bayān hojāye
vo bhī din aa.e jab zabāñ se tirī
merā qissa bayān hojāye
ġhair mumkin hai fard-e-vāhid se
ḳhush ye saarā jahān hojāye
us kī tā’mīr-e-nau zarūrī hai
jab purānā makān hojāye
merī duniyā bhī ek din badle
merī jānib bhī dhyān hojāye
tu agar mehrban hojaye
har tamanna jawan hojaye
yun bulandi ho fikr mein teri
har zamin aasman hojaye
jis ko us gul se ho shanasai
kyun na rangin bayan hojaye
wo bhi din aae jab zaban se teri
mera qissa bayan hojaye
ghair mumkin hai fard-e-wahid se
KHush ye sara jahan hojaye
us ki ta’mir-e-nau zaruri hai
jab purana makan hojaye
meri duniya bhi ek din badle
meri jaanib bhi dhyan hojaye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.