jab dayar-e-yar se ThanDi hawa aane lagi
jab dayār-e-yār se ThanDī havā aane lagī
mere dil par kuchh ajab sī kaifiyat chhāne lagī
bārish-e-rahmat huī jab gulistān-e-shauq meñ
dil kī pazhmurda kalī meñ tāzgī aane lagī
jab mirā jī kulfat-e-duniyā se ghabrāne lagā
aake terī yaad mere dil ko samjhāne lagī
sehn-e-dil meñ chhā ga.ī har-sū udāsī kī fazā
jab shikast-e-sāz-e-ulfat kī sadā aane lagī
āsmān-e-dil pe jab raushan huā māh-e-yaqīñ
shām-e-ġham kī tīrgī meñ raushnī aane lagī
maiñ ne us kā kyā bigāḌā hai bhalā ai ham-nashīñ
kis liye duniyā mire uupar sitam Dhāne lagī
jab mirā saaya bhī merā dushman-e-jāñ ho gayā
aap hī kī yaad se maiñ jī ko bahlāne lagī
jab dayar-e-yar se ThanDi hawa aane lagi
mere dil par kuchh ajab si kaifiyat chhane lagi
barish-e-rahmat hui jab gulistan-e-shauq mein
dil ki pazhmurda kali mein tazgi aane lagi
jab mera ji kulfat-e-duniya se ghabrane laga
aake teri yaad mere dil ko samjhane lagi
sehn-e-dil mein chha gai har-su udasi ki faza
jab shikast-e-saz-e-ulfat ki sada aane lagi
aasman-e-dil pe jab raushan hua mah-e-yaqin
sham-e-gham ki tirgi mein raushni aane lagi
main ne us ka kya bigaDa hai bhala ai ham-nashin
kis liye duniya mere upar sitam Dhane lagi
jab mera saya bhi mera dushman-e-jaan ho gaya
aap hi ki yaad se main ji ko bahlane lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.