tere aane ka ehtimal raha
tere aane kā ehtimāl rahā
marte marte yahī ḳhayāl rahā
ġham tirā dil se koī nikle hai
aah har-chand maiñ nikāl rahā
hijr ke haath se haiñ sab rote
yaañ hamesha kise visāl rahā
sham.a saañ jalte-balte kaaTī umr
jab talak sar rahā vabāl rahā
mil ga.e ḳhaak meñ hī tifl-e-sarishk
maiñ to āñkhoñ meñ garche paal rahā
samajhiye is qadar na kiije ġhurūr
koī bhī husn lā-zavāl rahā
tere dar se koī bhī Taltā huuñ
tū to har-chand mujh ko Taal rahā
dil na sambhlā agarche maiñ to use
apne maqdūr tak sambhāl rahā
phir na kahnā 'asar' na kuchh sunñā
koī din gar yūñhī jo haal rahā
tere aane ka ehtimal raha
marte marte yahī KHayal raha
gham tera dil se koi nikle hai
aah har-chand main nikal raha
hijr ke hath se hain sab rote
yan hamesha kise visal raha
shama san jalte-balte kaTi umr
jab talak sar raha wabaal raha
mil gae KHak mein hi tifl-e-sarishk
main to aankhon mein garche pal raha
samajhiye is qadar na kije ghurur
koi bhi husn la-zawal raha
tere dar se koi bhi Talta hun
tu to har-chand mujh ko Tal raha
dil na sambhla agarche main to use
apne maqdur tak sambhaal raha
phir na kahna 'asar' na kuchh sunna
koi din gar yunhi jo haal raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.