kahun kya dil uDane ka tera kuchh Dhab nirala tha
kahūñ kyā dil uḌāne kā tirā kuchh Dhab nirālā thā
vagarna har tarah se ab talak to maiñ sambhālā thā
kahāñ ab khul ke vo ronā kidhar vo ashk kī shorish
kabho kuchh phuuT bahtā hai jigar par vo jo chhālā thā
huā āvāra-e-dasht-o-bayābāñ dekhte apne
vo tifl-e-ashk jo ulfat se āñkhoñ beach paalā thā
tirā ġham khā gayā merā kaleja dil sabhī yak-bār
huā hogā kahāñ se ser ye to ik nivālā thā
abhī to lag na chalnā thā 'asar' us gul-badan ke saath
koī din dekhnā thā zaḳhm-e-dil be-tarh aalā thā
kahun kya dil uDane ka tera kuchh Dhab nirala tha
wagarna har tarah se ab talak to main sambhaala tha
kahan ab khul ke wo rona kidhar wo ashk ki shorish
kabho kuchh phuT bahta hai jigar par wo jo chhaala tha
hua aawara-e-dasht-o-bayaban dekhte apne
wo tifl-e-ashk jo ulfat se aankhon beach pala tha
tera gham kha gaya mera kaleja dil sabhi yak-bar
hua hoga kahan se ser ye to ek niwala tha
abhi to lag na chalna tha 'asar' us gul-badan ke sath
koi din dekhna tha zaKHm-e-dil be-tarh aala tha
- Book : Diwan-e-Asar Edited: Kamil Quraishi (Pg. 191)
- Author : Mir Asar
- Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Hind) (1978)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.