Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kaso ko mujhse ne mujhko kaso se kaam rahta hai

Khwaja Meer Asar

kaso ko mujhse ne mujhko kaso se kaam rahta hai

Khwaja Meer Asar

MORE BYKhwaja Meer Asar

    kaso ko mujh se ne mujh ko kaso se kaam rahtā hai

    mire dil meñ sivā tere ḳhudā naam rahtā hai

    kuchh in rozoñ dil apnā saḳht be-ārām rahtā hai

    isī hālat meñ le kar sub.h se tā-shām rahtā hai

    kaleja pak gayā hai kyā kahūñ us dil ke hāthoñ se

    hamesha kuchh na kuchh us meñ ḳhayāl-e-ḳhām rahtā hai

    bayāñ maiñ kyā karūñ us se ab aage apnī nākāmī

    tire ye taur aur mujh ko tujhī se kaam rahtā hai

    balā jaane 'asar' daurāñ ye kidhar charḳh maare hai

    hamārī bazm meñ din-rāt daur-e-jām rahtā hai

    kaso ko mujh se ne mujh ko kaso se kaam rahta hai

    mere dil mein siwa tere KHuda ka nam rahta hai

    kuchh in rozon dil apna saKHt be-aram rahta hai

    isi haalat mein le kar subh se ta-sham rahta hai

    kaleja pak gaya hai kya kahun us dil ke hathon se

    hamesha kuchh na kuchh us mein KHayal-e-KHam rahta hai

    bayan main kya karun us se ab aage apni nakaami

    tere ye taur aur mujh ko tujhi se kaam rahta hai

    bala jaane 'asar' dauran ye kidhar charKH mare hai

    hamari bazm mein din-raat daur-e-jam rahta hai

    Source :
    • Book : Diwan-e-Asar Edited: Kamil Quraishi (Pg. 244)
    • Author : Mir Asar
    • Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Hind) (1978)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now